VIP Gazalz

Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhss..
Ghazal Shayari
Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhss,
Meri mohabbaton se shanaasa tha aik shakss,
Aankhon ko us ke baad sujhayi nahin diya,
Aayiney bant’ta hua guzra tha aik shakhss,
Kal phir nazar bacha ke guzarna para humain,
Kal phir hamari raah main betha tha aik shakhss,
Ik ranj-o-gham ki bheerr muqabil khari thi aur,
Hungaama-e-hayaat mein tanha tha aik shakhss,
Mujh ko bhi dushmanon ki zaroorat thi sheher mein,
Mujh ko bhi apni jaan se pyara tha aik shakhss,
Tark-e-taluqaat pe naadim* na tha magar,
Rukhssat hua to toot ke roya tha aik shakhss,
Ansar woh khawb tha ya haqeeqat khabar nahin,
Bass itna yaad hai kahin dekha tha aik shakhss..

added on October 15th, 2012



Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko..
Ghazal Shayari
Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko,
Aur zamane ki nigahon se bacha le mujh ko,
Maanti hoon ke meri zaat main hain aib tamam,
Phir bhi haar apne galey ka tu bana le mujh ko,
Main hoon tasveer teri raah main, koi rond na de,
Dil ke sheeshey main mohabbat se saja le mujh ko,
Main to heera hoon magar kis ko hai pehchan meri,
Pyar se barh ke tu hathon mein utha le mujh ko,
Us ke hote huye ab ban’na sanwarna kesa,
Apni chahat se kisi rang main dhaaley mujh ko,
Hijar ki dhoop main jalte huye ik muddat se,
Thak chuki hoon zara seene se laga ley mujh ko,
Zindagi mein aajey gi Sassi teri,
Jab bhi dil chahey tera pass bula le mujh ko..

added on October 15th, 2012



Yeh to nahin hai ke hum ko mohabbat nahin mili..
Ghazal Shayari
Yeh to nahin hai ke hum ko mohabbat nahin mili,
Yeh aur baat hasb-e-zaroorat nahin mili,
Paayi hai us gunaah ki saza jo nahin kiya,
Aur iss sazaa main koi reyaayat nahi mili,
Kuch dushmanon ko hum ne tha dil main basa liya,
Kuch doston se apni tabiyat nahin mili,
Woh khush’naseeb they jo tere sath sath they,
Hum ko to aik lamhe ki qurbat nahin mili,
Sunte hain khud ko aap ne neelaam kar diya,
Afsos phir bhi ap ko qeemat nahin mili..

added on October 14th, 2012



Naye gulaab naye rang hain neyi khushbu..
Ghazal Shayari
Naye gulaab naye rang hain neyi khushbu,
Utar rahi hai meri rooh main teri khushbu,
Badan ko chootey hi mehkaa gayi hai sanson ko,
Mere qareeb se jab bhi guzar gayi khushbu,
Isi gali se guzre teri gali se hum,
Humain bhi dekhe gi khirki se jhankti khushbu,
Gulon ke chehre pe jese hon shabnami qatrey,
Bhali lagi mujhe sawan main bheegti khushbu,
Woh jis ki yaad main jaaga tamaam shab Sahil,
Ussi ke yaad ke pehlu main so gayi khusbhu..

added on October 14th, 2012



Tera kheyal teri baat sath chalti hai..
Ghazal Shayari
Tera kheyal teri baat sath chalti hai,
Yeh kaayenaat mere sath sath chalti hai,
Tamaam umar ka milna koi bhula bhi de,
Magar woh pehli mulaqaat sath chalti hai,
Bicharne lagta hai jab akhri musafir bhi,
To aik mauj-e-khayalat sath chalti hai,
Yeh kesi raah pe daala hai waqt ne mujhko,
Na koi din na koi raat sath chalti hai,
Bohat aziz hai ankhon ko aansuyon ki jharri,
Koi bhi rut ho yeh barsaat saath chalti hai..

added on October 13th, 2012



Tujhe jhoot ki aadat bhi bohat thi..
Ghazal Shayari
Yeh sach hai tujhe jhoot ki aadat bhi bohat thi,
Iss dil main magar teri mohabbat bhi bohat thi,
Manzil se zara pehle hi woh chorr geya tha,
Kam hausla rahi tha, musafat bhi bohat thi,
Kuch umar bhi aesi thi ke hum jhail na paye,
Kuch dard anokha tha to shiddat bhi bohat thi,
Do chaar gharri dil main woh mehmaan raha tha,
Lamhon ki sahi, mujh ko yeh mohlat bhi bohat thi,
Us ko bhi bicharrne ka bohat ranjj hua hai,
Mere liye us ki yeh wazaahat bhi bohat thi..

added on October 11th, 2012



Kisi ke hijar mein kese bassar kare koi..
Ghazal Shayari
Kisi ke hijar mein kese bassar kare koi,
Hajoom-e-dar main kab tak guzar kare koi,
Junoon-e-ishq ne kis raste pe la chora,
Kahan hoon main zara mujh ko khabar kare koi,
Taveel hone laga ab to justuju ka safar,
Musaafat-e-gham-e-jaan mukhtsar kare koi,
Tamaam umar raha ho jo bad’gumaan hum se,
Phir us ke sath kahan tak safar kare koi,
Ujarr na jaye kahin shaakh-e-sabz sehraa main,
Dil-e-tabaah pe mere nazar kare koi,
Reh wafaa main yehi aarzoo hai aye Roomi,
Bohat duyain ki us par assar kare koi..

added on October 10th, 2012



Yeh visaal hai ke firaq hai..
Ghazal Shayari
Yeh visaal hai ke firaq hai dil-e-mubtilaa ko pata rahe,
Jo phool hai to khilaa rahe jo yeh zakhm hai to haraa rahe,
Tere intizaar ke silsile hain meyan-e-dastak o dar kahin,
Yehi aaas hai to bandhi rahe yeh chiraag hai to jala rahe,
Yunhi bhoole bhatke agaye hain idhar to itni hawa na de,
Ke ghubaar ke peechey koi waaqeya to chupaa rahe..

added on October 9th, 2012



Woh laut ke aana bhol jata tha..
Ghazal Shayari
Udaas shamon mein woh laut ke aana bhol jata tha,
Kar ke khafaa mujh ko manana bhool jata tha,
Inhi khaslaton ne uski mujhe badnam kar dala,
Wo likh ke naam diwaron pe mitana bhool jata tha,
Mat pooch mohabat mein la’parwahi uski,
De ke zakhm wo marham lagana bhool jata tha,
Kitna dilnashi’n hota tha uski yaad ka manzar,
Wo jab bhi yaad aata tha zamana bhool jata tha.

added on October 7th, 2012



Khirrkiyan kis tarah ki hain, aur dar kesa hai woh..
Ghazal Shayari
Khirrkiyan kis tarah ki hain, aur dar kesa hai woh,
Sochta hoon, jis mein woh rehta hai ghar kesa hai woh,
Kesi woh aab-o-hawaa hai jis mein woh saans leta hai,
Aata jata hai woh jis par raahguzar kesa hai woh,
Main to us ke aik aik lamhe ka rakhta hoon shumaar,
Aur mere haal-e-dil se be’khabar kesa hai woh,
Us ka hona hi bohat hai, woh kahin hai to sahi,
Kya sarokaar is se mujh ko Zafar kesa hai woh..

added on October 7th, 2012



Tujhse bicharr kar kya hoon main..
Ghazal Shayari
Tujhse bicharr kar kya hoon main, ab bahar akar dekh,
Himmat hai to meri haalat, aankh mila kar dekh,
Shaam hai gehri, tez hawaa hai, sar pe khari hai raat,
Rasta gaye musafir ka ab diya jalaa kar dekh,
Darwaze ka paas aa aa kar wapis murrti chaap,
Kaun hai iss sunsaan gali main, paas bula kar dekh,
Shayed koi dekhne wala ho jaye khairaan,
Kamre ki deewaron par koi naqsh bana kar dekh,
Tu bhi Munir ab bhare jahaan main mil kar rehna seekh,
Bahar se to dekh liya, ab andar jaa kar dekh..

added on October 6th, 2012



Roshni Aur Baharain Tumhi Rakh Lo Jana..
Ghazal Shayari
Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana,
Mere jugnu mere mausam wapis kar do,
Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe,
Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do,
Jane waley se bas itna hi kaha tha mene,
Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do,
Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n,
Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do,
Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi,
Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do..

added on October 6th, 2012



Jab pyaar kisi se hota hai kya shokh zamane lagte hain…
Ghazal Shayari
Jab pyaar kisi se hota hai kya shokh zamane lagte hain,
Marne ke sahaarey milte hain jeene ke bahane milte hain,
Mehfil mein kabhi jo log humain ik aankh utha kar na dekhen,
Woh tanhaiyon mein aa ke humain kyon itne suhaney lagte hain,
Bachpan ki umangon ke rukh se phir kya kya aanchal uthte hain,
Maazi ke khayalon mein hum ko jab yaar puraney milte hain,
Yeh rah’guzar hai ulfat ki, yahan pass kahan, ehsaas kahan,
Yahan hamrahi apne apne dukh dard sunaney milte hain,
Yu’n tanha tanha kuch bhi nahin chahat ka bane tab peera’hn,
Jab husn aur ishq ke aapas mein sab taaney baaney milte hain,
Gar baat barhi to phir kya hai? aye jane tamana! dar kesa ?
Pardon mein rehne walon ke kya kya na fasaney milte hain,
Kuch tanha tanha Saaqi bhi rehte hain khayalon mein kho kar,
Jab taaza ghazal keh lete hain phir hum ko sunaney milte hain..

added on October 2nd, 2012



Aaj jo tujhse chhoota to kuch yaad aaya
Ghazal Shayari
Aaj jo tujhse chhoota to kuch yaad aaya,
Main kaun hoon, kiska hoon sarmaaya,
Kisi ki khwahish me yoon magan tha,
Ki bhool gaya, wo apna hai ya paraya,
Wo to bhool bhi gaya un baaton ko kab ka,
Ke kisne usey chaha tha jab sabne thukraya,
Meri deewangi ka aalam mat poochh Amir,
Jise toot kar chaha usi ne qatal karaya..

added on September 30th, 2012



Kabhi jhirrki se kabhi pyar se samjhaate rahe
Ghazal Shayari
Kabhi jhirrki se kabhi pyar se samjhaate rahe,
Hum gayi raat pe dil ko liye behlaate rahe,
Apne ikhlaaq ki shohrat ne ajab din dikhlaye,
Woh bhi aate rahe, ehbaab bhi sath ate rahe,
Hum ne tu lutt ke mohabbat ki riwayat rakh li,
Un se to poochiye woh kis liye pachtaate rahe,
Uss ke to naam se wabasta hai kaliyon ka gadaaz,
Aansu tum se to pathar bhi pighal jaate rahe,
Yu’n to na’ehlon ke peeney se jigar kat’ta tha,
Hum bhi paimaaney se paimaaney ko takraate rahe,
Un ki yeh waza-e-qadeemana bhi Allah Allah,
Pehle ehsaan kiya, baad ko sharmaate rahe,
Yu’n kise milti hai mamool se fursat lekin,
Hum to is lutf’e’yaar se bhi jate rahe..

added on September 29th, 2012

No comments:

Post a Comment