Mohsin Naqvi

Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
Mohsin Naqvi Poetry
Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
Phir Ehtmaam-e-Daar-O-Rasan Dekhtay Chalo
Dilchasp Waqea Hai Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarro’n Ka Jal Raha Hai Badan Dekhtay Chalo
Tanqeed Mat Karo Ke Zamana Kharab Hai
Chup Chaap Dosto’n Ka Chalan Dekhtay Chalo
“Mohsin” Shab-e-Siyaah Bhi Orhay Huay Hain Aaj
Shaffaaf Chandni Ka Kafan Dekhtay Chalo

added on October 14th, 2012



Junoon Main, Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha
Mohsin Naqvi Poetry
Junoon Main, Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha,
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha…
Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se,,
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha..
Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre,,
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha..
Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay,,
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha..
Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin..!!
Sakoon Se, So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha…!!

added on October 9th, 2012



Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mohsin Naqvi Poetry
Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?
Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay
Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Per Kaisay
Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay
Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay

added on September 27th, 2012



Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila
Mohsin Naqvi Poetry
Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila
Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila
Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor
Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila
Mein Os Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila
Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein
Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila
Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya “Mohsin”
Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila

added on September 20th, 2012



Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
Mohsin Naqvi Poetry
Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
Tumhaari Aankh Ka Ehwaal, Khwaab Poochtay Hain
Kahan Kahan Howay Roshan Hamaray Baad Charaagh ?
Sitaaray Deeda-e-Tar Se Hisaab Poochtay Hain
Wo Tashna Lab Bhi Ajab Hain Jo Mouj-e-Sehra Se
Suraagh-e-Habs, Mizaaj-e-Saraab Poochtay Hain
Kahan Basi Hain Wo Yaadain, Ujaarna Hai Jinhain ?
Dilon Ki Baanjh Zamee.n Se Azaab Poochtay Hain
Baras Padi Teri Aankhain Tou Phir Ye Bhaid Khula
Sawaal Khud Se Bhi Apna Jawaab Poochtay Hain
Hawa Ki Hamsafri Se Ab Aur Kia Haasil ?
Bas Apne Sheher Ko Khaana Kharaab Poochtay Hain
Jo Be-Niaaz Hain Khud Apne Husn Se “Mohsin”
Kahan Wo Mujh Se Mera Intekhaab Poochtay Hain

added on September 17th, 2012



Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay Osko
Mohsin Naqvi Poetry
Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay Osko
Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay Osko
Jisay Kasheed Kia Tha Khumaar-e-Khushbuu Se
Misaal-e-Rang Hawaaon Mein Gholtay Osko
Wo Khwaab Mein Hee Utarta Shuaa-e-Subah Ke Saath
Ham Apnay Aap Hee Palkon Pe Toultay Osko
Wo Ashk Tha Ose Aankhon Mein Dafan Hona Tha
Gohar Na Tha Ke Sitaaron Mein Roltay Osko
Wo Be-Wafa Tha Tou Iqraar Lazmi Karta
Kuch Aur Dair Meri Jaan Tatoltay Osko
Kisi Ki Aankh Se “Mohsin” Zaroor Peeta Hai
Tamaam Sheher Ne Dekha Hai Doultay Osko

added on September 8th, 2012



Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Mohsin Naqvi Poetry
Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Mujhe Chain Se Marne Nahi Deta
Bicharay Tou Ajab Pyaar Jatata Hai Khaton Mein
Mil Jaye Tou Phir Had Se Guzarne Nahi Deta
Wo Shaks Khizan Rut Mein Bhi Mohtaat Rahay Kitna
Sokhay Hoye Phoolon Ko Bikharne Nahi Deta
Ik Roz Teri Pyaas Khariday Ga Wo Ghabro !
Pani Tujhe Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta
Wo Dil Mein Tabassam Ki Kiran Gholne Wala
Roothay Tou Ruton Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta
Mein Us Ko Manaon K Gham-e-Dehar Se Uljhon ?
“Mohsin” Wo Koi Kaam Bhi Karne Nahi Deta

added on September 6th, 2012



Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye
Mohsin Naqvi Poetry
Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye
Zara Siii Dair Ko Hangama-e-Mahfel Tehar Jaaye
Shab-e-Maqtal Ka Sanaata Gawahi Dey Na Dey Apni
Laho Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qaatil Tehar Jaaye
Tabiyat Toot Kar Chahye Talaatum Ashiana Hona
Mager Tashna Labi Ki Zid Ser – e – Saahil Tehar Jaaye
Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra
Woh Ek Lamha k Apni Umr Ka Haasil Tehar Jaaye
Kahin To Saans Lay Thak Kar Hajoom-e-Abla Paa’yiii
Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Tehar Jaaye
Koi Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye
Kisi Awaz Per To Be Sada Saayel Tehar Jaaye
Kahaa K QAIS Tay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai
K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Tehar Jaaye
Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hat’ta Nahi MOHSIN
K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kaamil Tehar Jaaye

added on September 5th, 2012



Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo
Mohsin Naqvi Poetry
Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo
Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo,
Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo,
Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,
Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin”
Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo.

added on September 4th, 2012



Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha
Mohsin Naqvi Poetry
Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!!
Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha..!!
Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal..!!
Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha ..!!
Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya..!!
Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha..!!
Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi ..!!
Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha..!!
Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin..!!
Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha..!!!

added on September 4th, 2012



Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog
Mohsin Naqvi Poetry
Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog?
Naik Nigahon, Sache Jazbon Ki Saugaaton Waalay Loog
Pyaas Ke Sehraaon Mein Dhoop Pehen Kar Paltay Banjaaro…!
Palkon Oat Talaash Karo, Bojhal Barsaaton Waalay Loog
Waqt Ki Urrti Dhool Mein Apne Naqsh Ganwae Phirte Hain,
Rim Jhim Subhon, Roshan Shaamon,Resham Raaton Waalay Loog
Aik Bhikaarun Dhoond Rahi Thi Raat Ko Jhoote Chehron Mein,
Ujle Lafzon, Sachi Baaton Ki Khairaaton Waalay Loog
Aane Waali Rog Ruton Ka Pursa Dain Har Larki Ko…!
Shehnaai Ka Dard Samajh Lein Gar Baaraton Waalay Loog
Pathar Kootne Waalon Ko Bhi Sheeshe Jaisi Saans Milay !!
“Mohsin” Roz Duaaen Maangain Zakhmi Haathon Waalay Loog

added on August 31st, 2012



Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon
Mohsin Naqvi Poetry
Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon
Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon,
Mujhe Tune Aisi Nighaah se Dekha
K Mai Ek Pal Mein Bari Ho Gayi Hoon,
Sar-e-Shaam Aane ka Hai Us ka Wada
Mai Subah Se Darr Par Khari Ho Gayi Hoon,
Na Churwa sakoge kabi Haath Apna
Mohabbat Bhari Hath-Kari Ho Gayi Hoon,
Boht Door hai Mujh se Khushyon ka Mosam
Musalsal Ghamon ki Jhari Ho Gayi Hoon,
Juda kar Na Payega Ab koi “MOHSIN”
Wo Khushbu hai, Mai Pankhri Ho Gayi Hoon.

added on August 30th, 2012



Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey
Mohsin Naqvi Poetry
Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey,
Wo Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagey,
Na Janey Kab Meri Dunya Mai Muskuraaye Ga,
Wo Aik Shakhs,,, Jo Khawabon Mai Bhi Khafaa Sa Lagey,
Ajab Cheez Hai Yaaron Ye Manzilon Ki Hawas,
Ke Raahzan Bhi Musafir Ko Raahnuma Sa Lagey,
Dil-e-Tabah! Tera Mashwara Hai Kya Ke Mujhe,
Wo Phool Rung Sitaara Bhi Bewafa Sa Lagey,
Hoi Hai Jis Se Munnawar,, Her Ek Aankh Ki Jheel,
Wo Chaand Aaj Bhi ,,Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey

added on August 30th, 2012



Itna khali tou ghar nahi, hum hain
Mohsin Naqvi Poetry
Itna khali tou ghar nahi, hum hain!
Hum nahi hain magar nahi, hum hain!!
Chasm-e-dushman ke khauf se pocho
Nok-e-naiza pe sir nahi, hum hain
Sham-e-tanhai gham na kar k tera
Koi bhi humsafar nahi, hum hain
Chand se keh do, be dharak utre
Ghar mein dewar-o-dar nahi, hum hain
Woh jo sab se hain be khaber, tum ho
Jin ko apni khaber nahi, hum hain
Kyun jalate ho jhonpri apni?
Is mein lal-o-gohar nahi, hum hain
Hum hain humzaad, raat ke Mohsin
Jin ki qismat Sehr nahi, hum hain

added on August 27th, 2012



Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
Mohsin Naqvi Poetry
Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,
Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,
Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,
Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,
Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak…….!!

added on August 25th, 2012

No comments:

Post a Comment